dharti par bhagwan hai jo,
Humare maa baap kehlate hai
wo.
9 mahine nikal jate hai bache
ki khusi pane ke liye,
Tarah tarah ke khilone ke dher
lag jate the humare liye.
Bas humara rona sun kar jo
humari taklif samaj jati hai,
Raat raat bhar jo jag kar bachpan
me humko kilati hai.
Papa har din ek naya khilona
late hai,
Hume apne kandho pe baitha ke
pure ghar ki sair karate hai.
Humari tabiat kharab hote hi
maa ki ankhe num ho jati hai,
Wo jab papa ki dhadkan tham si
jati hai.
Mehengi chizo ke liye jid
karne pe b maa muskurati hai,
Papa ki hasiyat na hote hue b
wo chiz hume jarur mil jati hai.
hume padhe ke liye wo ache school bhejte hai,
Mehengi mehengi pencil,bag aur
na jane kya kya dete hai.
Humari exam a jaye to unko
nind nai ati hai,
Maa apne sare kaam chod ke
sirf hume padhati hai.
Humari padai ki tnsn me wo
ghumne tak nai jate,
Fir bhi humari muskan ke liye
jo apni sari jindagi hai bitate
Dhire dire hum bade ho jate
hai,
Padai ke liye apne maa baap se
kahi dur chale jate hai.
Kabi sochte nai ki wo kaise
humare bina apni jindagi bitate hai,
Hume miss kartey kartey wo kai
baar bina khaye so jate hai.
Tab unka dil tut sa jata hai,
Jab wapas ane ke baad unka
bacha hi unhe bhul jata hai.
apko kuch samaj nai ata,
ye wo apni maa ko suna jata
hai.
Aaj wahi maa apne bache ki
juban sun kar ansu bahati hai,
jo apne bache ki daant sun ke
b uspe aaj bhi paar lutati hai.
Papa ko b ab koi izaat nai
deta wo beta,
Wo unhe b ab unchi awaz me hai
kehta.
Har baat par maa ko ab tokta
hai,
Ab wo apne aap ko apni maa se
jada hosiyar samajta hai.
Bhul jata hai ki maa baap ne
hi use paday tha,
Bhul jata hai ki unhone ne hi
ise is kabil bnaya tha.
Maa roti hai par kahe nai pati
hai,
Wo papa ki umeed b ab tut si
jati hai.
Fir bhi papa apni jindag ki
kamai bĂȘte pe lutate hai,
Ajkal to bache maa baap ke
marne pe ansu tak nai bahate hai.
Kitna dil dukhta hai maa baap
ka ye kai bache smaj nai pate,