Sunday, 17 November 2013

ajkal har jagah akele pad jate hai

kyuu yaad kartey hai hum wo lamhe jo guzar jatey hai,
bas unhi lamho ki yaad me ankho se ansu a jatey hai.

kuch paraye jindagi me a ke dil ko chu jatey hai,
kabi kabi wo paraye bhi apno se jada pyaar de jatey hai.

bichadte samay ankhe num ho jati hai,
sabkuch hote hue bhi mano jindagi tham si jati hai.

hostel me ja ke unhe miss kartey din guzar jata hai,
firse unka purana sath pane ko dil taras jata hai.

kabi kabi hostel ka bura khana kha ke ankhe num aur tabiat kharab ho jati hai,
usi samay maa ki badi yaad ati hai,

exam a jaye to mano jindagi se nafrat ho jati hai,
exam khatam hote hi wo nafrat pyaar me badal jati hai.

dil me bahut kuch hai magar kahe nai pate hai,
sachai to ye hai ki hum ajkal har jagah akele pad jate hai.....

Friday, 15 November 2013

NANHI SI PARI

jindagi logo ko bahut kuch dikhlati hai,
kabi hasna tokabi rona sikhati hai.
muskil samne la kar hi to ye humara housla badhati hai,
magar meri nanhi si pari dukhi ho jati hai.

mehnat hume ache fal jarur dilati hai,
kabi kabi wo fal milne me der jarur ho jati hai,
har shubha ke baad sham ati hai,har haar ke baad jeet jarur ati hai,
magar meri nanhi si pari dukhi ho jati hai.

khudpe bharosa rakhne walo ki jindagi bhi gulam ban jati hai,
humesa unke samne safalta hi ati hai,
himmat se har muskil asan ho jati hai,
himmat rakhne walo ki jeet ho jati hai,
fir bhi meri nanhi si pari dukhi ho jati hai

kaise samjau mai is pari ko

jindagi kabi kabi itehan leti hai,
lekin mehnat kabi bekar nai jati hai,
is nanhi si pari ke age duiya ki har musibat jhuk jayegi,
agar ye jjindagi ke har pal me muskurayegi.....


by +Nitesh Agrawal 

Saturday, 5 October 2013

khudko kabhi duhkhi na karna

Khudko kabhi dukhi na karna,
Apne ansu ki ahemiat apne maa baap se puchna,
Jab bachpan me tere ansu se unkhi ankhe num hoti thi,
Wo khus hote jab unki bete ki ankho me khusi hoti thi.

Apni jindagi ko kabi bekar na samjna,
Teri jindagi ki ahemiat tere behen bhai se samajna,
Teri ek masti se hi unki hasi ati hai,
Tere hi taang karne se teri didi muskurati hai.

Apne aap ko abi akela mat samajna,
Apne dosto ki ahemiat ko samajna,
Tere har khusi aur gum me wo sath hai,
Aaj bhi teri ek awaz pe  wo tere pass hai.

Kabi ho jaye apni jindagi se parehan,
Ek baar us samay karna apne papa ko dhyan,
Kaise unhone teri har khusi ke liye bin soe raatey bitayi hai,
Kaise unhone tujse bina preshani btaye teri haar baat mani hai.

Aaj  bas itna tu soch ke apne aap ko khus kar,
Tere mumy papa ki jindagi me apni ahemiat ko mehsus kar,
Teri bhai behen ke pyaar ko mehsus kar,

Tere dosto ke saath ko mehsus kar.


By, +Nitesh Agrawal 

LOVE SHAYARI

Tu hi meri pooja hai , mera azaan tu hai,
mai to hu deewana baadal , mera aasmaan tu hai,
mai unmein se nahi jo dil laga le kisi gair se,
is ishq-e-beimaan jahan mein mera imaan tu hai



kya bigada tha tera jo mere sapno ko choor kar diya,
tu meri hai is ehsaas se bhi door kar diya,
suna tha badal jaati dosti pyaar mein aksar,
tune toh mujhe pyaar ko dosti mein badalne par majboor kar diya

Thursday, 3 October 2013

memories of school days

bachpan me school jate samay anko me ansu ate the..
teacher ki jara si unchi awaj sunte hi anko me ansu ate the..

har roz dosti aur jhagde ka silsila chalta tha..
school jane ko man bahut machalta tha..

dosti ka matlab b pta nahi hota fir b dost kahete hai..
din raat unhi ke sath khelte rahete hai..

badi class me ate hi thodi samaj a jati hai..
pta ni kuch logo ko padai ki tnsn b ho jati hai..

ab hoti hai pakki dosti..
aur fir suru hoti hai masstii..

class me har ek bande ka alag hi funny naam hota hai..
har kisi ka apna pehchan hota hai..

class me baithe baithe lunch kha jate hai..
jiska lunch kha re hote hai use tak nahi btate hai..

recess me to dhum mach jati hai..
mano jaise jail se kisi kaidi ko azadi mil jati hai..

bas kisi teacher ke absent hone ka intezar hota hai..
har period free bnane ko dil bekrar hota hai..

choti choti baato me ladai aur fir pal me dosti ho jati hai..
class 10th me ate hi class me unity a jati hai..

couples banne ka silsila suru ho jata hai..
har ek dost duse ko uski wali ke naam se chidata hai..

jindagi me koi tnsn nahi sirf masti hoti hai..
school life yaaro badi massst hoti hai..

sham ko tutn me jo dhum machate hai..
sabse jada maze to wahi ate hai..

school ke functions me comment pass karne me maze ate hai..
juniors ke samne apne senior hone ki dhak b jamate hai..

har ek teacher ka mazak udate hai..
aur class me to padhte padhte so jate hai..

games period ka intezar pure hafte hota hai..
ek hi basket ball se puri class ko khelna hota hai..

rules to pta nai hote fir b khelte hai..
yaaro rules apne khelte time hi bante hai..

project ke submission ki last date ate hi halat kharab ho jati hai..
fir dek usi ke ek din pehle class me kyaa gazab unity ati hai..

test me to har kisi ka cheating partner fix hota hai..
kaha kisi ko pakade jane ka risk hota hai..

principal ko budiya kahe ke bulate hai..
lekin unke samne ate hi sabse sidhe bache ban jate hai..

sala dosto se pyaar b karege..
lekin mar pit ke bina baat b nai karege..

achanak se dil tham sa jata hai..
jab school life ka last din ata hai..

anko ke ansu thamne ka naam hi nai lete..
samaj nai ata kaise apne dosto aur pyaare school ko alvida kahete..

jindagi fir badal jati hai..
aj fir school me ghusne se yahi kahani yaad ati hai..

dedicated to my school days 


By, +Nitesh Agrawal 

Monday, 30 September 2013

Mom and Dad

 dharti par bhagwan hai jo,
Humare maa baap kehlate hai wo.

9 mahine nikal jate hai bache ki khusi pane ke liye,
Tarah tarah ke khilone ke dher lag jate the humare liye.

Bas humara rona sun kar jo humari taklif samaj jati hai,
Raat raat bhar jo jag kar bachpan me humko kilati hai.

Papa har din ek naya khilona late hai,
Hume apne kandho pe baitha ke pure ghar ki sair karate hai.

Humari tabiat kharab hote hi maa ki ankhe num ho jati hai,
Wo jab papa ki dhadkan tham si jati hai.

Mehengi chizo ke liye jid karne pe b maa muskurati hai,
Papa ki hasiyat na hote hue b wo chiz hume jarur mil jati hai.

 hume padhe ke liye wo ache school bhejte hai,
Mehengi mehengi pencil,bag aur na jane kya kya dete hai.

Humari exam a jaye to unko nind nai ati hai,
Maa apne sare kaam chod ke sirf hume padhati hai.

Humari padai ki tnsn me wo ghumne tak nai jate,
Fir bhi humari muskan ke liye jo apni sari jindagi hai bitate

Dhire dire hum bade ho jate hai,
Padai ke liye apne maa baap se kahi dur chale jate hai.

Kabi sochte nai ki wo kaise humare bina apni jindagi bitate hai,
Hume miss kartey kartey wo kai baar bina khaye so jate hai.

Tab unka dil tut sa jata hai,
Jab wapas ane ke baad unka bacha hi unhe bhul jata hai.

apko kuch samaj nai ata,
ye wo apni maa ko suna jata hai.

Aaj wahi maa apne bache ki juban sun kar ansu bahati hai,
jo apne bache ki daant sun ke b uspe aaj bhi paar lutati hai.

Papa ko b ab koi izaat nai deta wo beta,
Wo unhe b ab unchi awaz me hai kehta.

Har baat par maa ko ab tokta hai,
Ab wo apne aap ko apni maa se jada hosiyar samajta hai.

Bhul jata hai ki maa baap ne hi use paday tha,
Bhul jata hai ki unhone ne hi ise is kabil bnaya tha.

Maa roti hai par kahe nai pati hai,
Wo papa ki umeed b ab tut si jati hai.

Fir bhi papa apni jindag ki kamai bĂȘte pe lutate hai,
Ajkal to bache maa baap ke marne pe ansu tak nai bahate hai.

Kitna dil dukhta hai maa baap ka ye kai bache smaj nai pate,
Maa baap hi hai jo martey dum tak apne bache pe pyaar hai lutate.

by, +Nitesh Agrawal