Saturday, 5 October 2013

khudko kabhi duhkhi na karna

Khudko kabhi dukhi na karna,
Apne ansu ki ahemiat apne maa baap se puchna,
Jab bachpan me tere ansu se unkhi ankhe num hoti thi,
Wo khus hote jab unki bete ki ankho me khusi hoti thi.

Apni jindagi ko kabi bekar na samjna,
Teri jindagi ki ahemiat tere behen bhai se samajna,
Teri ek masti se hi unki hasi ati hai,
Tere hi taang karne se teri didi muskurati hai.

Apne aap ko abi akela mat samajna,
Apne dosto ki ahemiat ko samajna,
Tere har khusi aur gum me wo sath hai,
Aaj bhi teri ek awaz pe  wo tere pass hai.

Kabi ho jaye apni jindagi se parehan,
Ek baar us samay karna apne papa ko dhyan,
Kaise unhone teri har khusi ke liye bin soe raatey bitayi hai,
Kaise unhone tujse bina preshani btaye teri haar baat mani hai.

Aaj  bas itna tu soch ke apne aap ko khus kar,
Tere mumy papa ki jindagi me apni ahemiat ko mehsus kar,
Teri bhai behen ke pyaar ko mehsus kar,

Tere dosto ke saath ko mehsus kar.


By, +Nitesh Agrawal 

No comments:

Post a Comment