Saturday, 5 October 2013

khudko kabhi duhkhi na karna

Khudko kabhi dukhi na karna,
Apne ansu ki ahemiat apne maa baap se puchna,
Jab bachpan me tere ansu se unkhi ankhe num hoti thi,
Wo khus hote jab unki bete ki ankho me khusi hoti thi.

Apni jindagi ko kabi bekar na samjna,
Teri jindagi ki ahemiat tere behen bhai se samajna,
Teri ek masti se hi unki hasi ati hai,
Tere hi taang karne se teri didi muskurati hai.

Apne aap ko abi akela mat samajna,
Apne dosto ki ahemiat ko samajna,
Tere har khusi aur gum me wo sath hai,
Aaj bhi teri ek awaz pe  wo tere pass hai.

Kabi ho jaye apni jindagi se parehan,
Ek baar us samay karna apne papa ko dhyan,
Kaise unhone teri har khusi ke liye bin soe raatey bitayi hai,
Kaise unhone tujse bina preshani btaye teri haar baat mani hai.

Aaj  bas itna tu soch ke apne aap ko khus kar,
Tere mumy papa ki jindagi me apni ahemiat ko mehsus kar,
Teri bhai behen ke pyaar ko mehsus kar,

Tere dosto ke saath ko mehsus kar.


By, +Nitesh Agrawal 

LOVE SHAYARI

Tu hi meri pooja hai , mera azaan tu hai,
mai to hu deewana baadal , mera aasmaan tu hai,
mai unmein se nahi jo dil laga le kisi gair se,
is ishq-e-beimaan jahan mein mera imaan tu hai



kya bigada tha tera jo mere sapno ko choor kar diya,
tu meri hai is ehsaas se bhi door kar diya,
suna tha badal jaati dosti pyaar mein aksar,
tune toh mujhe pyaar ko dosti mein badalne par majboor kar diya

Thursday, 3 October 2013

memories of school days

bachpan me school jate samay anko me ansu ate the..
teacher ki jara si unchi awaj sunte hi anko me ansu ate the..

har roz dosti aur jhagde ka silsila chalta tha..
school jane ko man bahut machalta tha..

dosti ka matlab b pta nahi hota fir b dost kahete hai..
din raat unhi ke sath khelte rahete hai..

badi class me ate hi thodi samaj a jati hai..
pta ni kuch logo ko padai ki tnsn b ho jati hai..

ab hoti hai pakki dosti..
aur fir suru hoti hai masstii..

class me har ek bande ka alag hi funny naam hota hai..
har kisi ka apna pehchan hota hai..

class me baithe baithe lunch kha jate hai..
jiska lunch kha re hote hai use tak nahi btate hai..

recess me to dhum mach jati hai..
mano jaise jail se kisi kaidi ko azadi mil jati hai..

bas kisi teacher ke absent hone ka intezar hota hai..
har period free bnane ko dil bekrar hota hai..

choti choti baato me ladai aur fir pal me dosti ho jati hai..
class 10th me ate hi class me unity a jati hai..

couples banne ka silsila suru ho jata hai..
har ek dost duse ko uski wali ke naam se chidata hai..

jindagi me koi tnsn nahi sirf masti hoti hai..
school life yaaro badi massst hoti hai..

sham ko tutn me jo dhum machate hai..
sabse jada maze to wahi ate hai..

school ke functions me comment pass karne me maze ate hai..
juniors ke samne apne senior hone ki dhak b jamate hai..

har ek teacher ka mazak udate hai..
aur class me to padhte padhte so jate hai..

games period ka intezar pure hafte hota hai..
ek hi basket ball se puri class ko khelna hota hai..

rules to pta nai hote fir b khelte hai..
yaaro rules apne khelte time hi bante hai..

project ke submission ki last date ate hi halat kharab ho jati hai..
fir dek usi ke ek din pehle class me kyaa gazab unity ati hai..

test me to har kisi ka cheating partner fix hota hai..
kaha kisi ko pakade jane ka risk hota hai..

principal ko budiya kahe ke bulate hai..
lekin unke samne ate hi sabse sidhe bache ban jate hai..

sala dosto se pyaar b karege..
lekin mar pit ke bina baat b nai karege..

achanak se dil tham sa jata hai..
jab school life ka last din ata hai..

anko ke ansu thamne ka naam hi nai lete..
samaj nai ata kaise apne dosto aur pyaare school ko alvida kahete..

jindagi fir badal jati hai..
aj fir school me ghusne se yahi kahani yaad ati hai..

dedicated to my school days 


By, +Nitesh Agrawal