Sunday 28 September 2014

KABHI KABHI

duniya me akele jinda rahene ka jaise ehsas ho,
sab kuch ho kar bhi jaise man udas ho,
kuch karney ki chah hi jaise mar jati hai,
kabhi kabhi mano jindagi tham si jati hai.

jaise bheed me bhi pattey girne ki awaz sunai de,
aisi tanhai mano man ko gher le,
jaise koi bacha ro ro kar maa ko pukare,
kabi kabhi kuch yuh bhi hote hai jindagi me nazare,

jaise pyaasey ko pani ki tadap mehsus ho,
aise mano kisi ki yaad dil me mehfus ho,
jaise nadi samudar se milne ko taras jaye,
kabhi kabhi aise bhi lamhe jindagi me aye.

jaise kabhi pair jameen par na tike,
mano jaise hum sabse upar hi dikhe,
udte hue parinde ko mano baithne ki jagah mil jaye,
kabhi kabhi jindagi me aise bhi kuch pal the aye.

jaise kisi parinde ke par kat jaye,
aise mano chahatey hue bhi hum kuch na kar paye,
jaise kabi man humpar kabu paye,
kabhi kabhi jindagi me aise tufan bhi aye.

jaise kaali raat ke baad din ki kiran dikhai de,
waise hi mano kisi ki awaz sunai de,
jaise mano dubtey to kinara mil jaye,
kabhi kabhi hum jindagi ko aise hi samhal paye.

jaise kabi maa apne bache ko godh me sualye,
waise hi mano muskile hume chuh tak na paye,
jaise aag me prahlad ke sath baithi holika jal jaye,
kabhi kabhi jindagi me duwao ke sahare hum yu hi bach paye.

ache bure sab tarah  ke din ayege,
hausla hoga kuch paaney ka to sab aise hi guzar jayege,
maa baap ki dua hi kaam ayegi,
unke bina mano jindagi kisi bhi pal khatam ho jayegi.