Sunday 17 November 2013

ajkal har jagah akele pad jate hai

kyuu yaad kartey hai hum wo lamhe jo guzar jatey hai,
bas unhi lamho ki yaad me ankho se ansu a jatey hai.

kuch paraye jindagi me a ke dil ko chu jatey hai,
kabi kabi wo paraye bhi apno se jada pyaar de jatey hai.

bichadte samay ankhe num ho jati hai,
sabkuch hote hue bhi mano jindagi tham si jati hai.

hostel me ja ke unhe miss kartey din guzar jata hai,
firse unka purana sath pane ko dil taras jata hai.

kabi kabi hostel ka bura khana kha ke ankhe num aur tabiat kharab ho jati hai,
usi samay maa ki badi yaad ati hai,

exam a jaye to mano jindagi se nafrat ho jati hai,
exam khatam hote hi wo nafrat pyaar me badal jati hai.

dil me bahut kuch hai magar kahe nai pate hai,
sachai to ye hai ki hum ajkal har jagah akele pad jate hai.....

Friday 15 November 2013

NANHI SI PARI

jindagi logo ko bahut kuch dikhlati hai,
kabi hasna tokabi rona sikhati hai.
muskil samne la kar hi to ye humara housla badhati hai,
magar meri nanhi si pari dukhi ho jati hai.

mehnat hume ache fal jarur dilati hai,
kabi kabi wo fal milne me der jarur ho jati hai,
har shubha ke baad sham ati hai,har haar ke baad jeet jarur ati hai,
magar meri nanhi si pari dukhi ho jati hai.

khudpe bharosa rakhne walo ki jindagi bhi gulam ban jati hai,
humesa unke samne safalta hi ati hai,
himmat se har muskil asan ho jati hai,
himmat rakhne walo ki jeet ho jati hai,
fir bhi meri nanhi si pari dukhi ho jati hai

kaise samjau mai is pari ko

jindagi kabi kabi itehan leti hai,
lekin mehnat kabi bekar nai jati hai,
is nanhi si pari ke age duiya ki har musibat jhuk jayegi,
agar ye jjindagi ke har pal me muskurayegi.....


by +Nitesh Agrawal