Sunday 17 November 2013

ajkal har jagah akele pad jate hai

kyuu yaad kartey hai hum wo lamhe jo guzar jatey hai,
bas unhi lamho ki yaad me ankho se ansu a jatey hai.

kuch paraye jindagi me a ke dil ko chu jatey hai,
kabi kabi wo paraye bhi apno se jada pyaar de jatey hai.

bichadte samay ankhe num ho jati hai,
sabkuch hote hue bhi mano jindagi tham si jati hai.

hostel me ja ke unhe miss kartey din guzar jata hai,
firse unka purana sath pane ko dil taras jata hai.

kabi kabi hostel ka bura khana kha ke ankhe num aur tabiat kharab ho jati hai,
usi samay maa ki badi yaad ati hai,

exam a jaye to mano jindagi se nafrat ho jati hai,
exam khatam hote hi wo nafrat pyaar me badal jati hai.

dil me bahut kuch hai magar kahe nai pate hai,
sachai to ye hai ki hum ajkal har jagah akele pad jate hai.....

No comments:

Post a Comment