Sunday 11 January 2015

Pyaar Me Mara Nahi Jiya Jata Hai

pyar ki ahemiat kuch yu samaj ati hai,
pyaar me kuch paane ki umeed nahi ki jati hai,
nadi kuch is tarah samudra se pyaar karti hai,
uske fike jal ko martey dum tak mitha karne ki kosis karti hai.

kahete hai kuch log ki pyaar kiya tha humne,
samajh nahi payi wo bewafa daga diya usne,
nahi samajtey ki pyaar tumne kiya to uski kya galti hai,
kal tak tumhari dost thi,aaj tmhe bewafa lagti hai.

bhai behen ke pyaar ko log ab thik nahi btate hai,
wo ek dusre ke karib a jaye to unpar bhi shak kar jatey hai,
bhai behen jaisa pavitra rishta kisi ka nahi ho sakta,
unka ek duje ke liye pyaar kisi ke sawalo ka mautaj nahi ho sakta.

log kahete hai wo achi dikhi to mujhe pyaar ho gaya,
aur fir kuch hi dino me pyaar ka izhar ho gaya,
arey pyaar jism se nahi rooh se karna sikho,
pyaar ke naam par haiwaniat ka adambar chodo.

ped paudhe kuch is tarah pyaar kartey hai,
patthar kha kar bhi mithe fal hi dete hai,
logo ka pyaar to thode se jhagde se nafrat me tabdil ho jata hai,
patthar ki maar kya kahyega jo nok jhook me hi fisal jata hai.

pyaar dene ka socho lekene ki apeksha kiye bina,
humsafar bano kisi ke,haiwan bane bina.
pyaar swarth ke liye nahi parmarth ke liye kiye jata hai,
pyaar me mara nahi,jiya jata hai.